Monday 27 April 2015

kapil sharma interview and information

Kapil Sharma Information
Kapil Sharma 2 April 1981 ko Amritsar mein paida hue. Kapil Sharma ke walid Police mein jab ke Waleda Khatoon e Khana hain. Kapil ne Hindu college Amritsar se Graduation kiya. Jab Kapil Sharma 1st year ke student the. To Kapil Sharma ne college mein theater group join kar liya aur college ke kae functions mein prizes bhi jeeten. Is ke baad inho ne APJ colloge Jhalander se fine arts mein post graduation kiya. Kapil Sharma ne apna career reality shows aur comedy se shuru kiya. Kapil aik famous comedian, actor aur television host hain. Inho ne television se kae comedy shows mein hissa liya aur fatah qarar paey. Star one ka show the great laughter challenge season 3 mein in ke comedy characters Lala Rsohan Laal aur Shamsheer Singh ( Punjabi Police Man ) bohat pasand kiye gaey. 2008 mein comedy reality show ustadon ka ustaad mein hissa liya, jis mein comedy circus ke shurka ne great Indian laughter challenge ke shurka ke bilmaqabil performance di. Isi saal inho ne comedy show chote miyan mein Juhi Parmar ke sath co-hosting ki. 2009 mein inho ne star one ke comedy reality show hans baliye mein wild card entry ke zariye shamoliyat ikhteyar ki. Is show mein in ki partner Pavneet Chauhan thi. 2010 mein Kapil Kahani comedy circus ki mein fatah rahe. Kapil Sharma ne 2012 mein Toronto mein hone wale pehle Punjabi International awards mein bhi co-host ke taur par hissa liya. Kapil singer bhi hain aur aap ne star ya rockstar mein hissa le kar dosri position hasil ki. In ka show comedy nights with Kapil in ke career ka sab se barha sang meel sabit hua hai. Kapil popular dance show Jhalak dikhlaja season 6 mein co host ke taur par hissa le chuke hain.Show business world mein kar aesi films, dramas aur nonfiction shows dikhae ja chuke hai. jinho ne kamiyabi aur maqboliyat ke new records qaiym kiye, is hawale se television par chalne wale kuch fiction shows naqabil e faramosh aur yaadgar samjhe jate hain. Jinhe saat saat aur aath aath saal tak on ear rehne ka aezaaz hasil hua. Kahani ghar ghar ki, saas bhi kabhi bahu thi aur kasauti zindagi ki is ki behtareen examples hain. Is ke bar aks nonfiction show maqbool hone ke bawajood apni muqarrara muddat se aage na barh sake. Lekin Kapil Sharma ke show comedy night’s with Kapil ne maqboliyat aur kamiyabi ke sare records torh diye hain. Yeh show 22 June 2013 se shuru hua aur ta dam tehreer kamiyabi se dikhaya ja raha hai. Is show ki numaya khusosiyat yeh hai ke is mein filmy duniya ke naamwar stars Shahrukh Khan, Dharmindra, vidya balan aur Emraan Hashmi waghera shirkat kar chuke hain. Jab ke mazeed sitaron ki aamad mutawaqqa hai. Show ki maqboliyat ka andaza yun lagaya ja sakta hai, ke is show ne TRP ke lihaz se Kaun Banega Crorepati aur Big Boss jaise shows ko bhi piche chor diya hai aur aaj tak kisi nonfiction shows ko yeh rating naseeb nahi hui. Is ki kamiyabi ka sara credit actor, comedian aur host Kapil Sharma ko jata hai, jo bataur producer is ka pehla show hai. Is interview mein Kapil Sharma ne apne career aur is ke hawale se kae aeham inkeshafaat kiye hain.


Kapil Sharma Interview
Question : Pehle aap sirf comedian, actor aur host the, lekin ab producer bhi ban gaey hain, yeh faisla kyun kiya ?
Kapil Sharma : Show ke title par apna naam dekh kar bohat khushi hoti hai, lekin hamare mulk mein aisa mauqa bohat kam logon ko milta hai. Oper wale ka barha karam hai ke hamara show bohat kamiyab raha aur nonfiction shows mein TRP ke lihaz se top of the list par hai. Main nahi samajhta ke aaiynda 5 saal tak koi bhi is rating ke qareeb pohanch sakta hai. Agar aap acha mawad dete hain to log use pasand karte hain. Har comedian apne show ka khuwab dekhta hai aur mera bhi yehi sapna tha. Jahan tak rasq ka talluq hai to yeh har nae kaam mein hota hai. Jab ke mai to kafi arsey se apna production house qaiym karne ke barey mein soch raha hon.
Question : Kya aap samajhte hain ke industry mein aap ko jaiyz maqam mil gaya hai ?
Kapil Sharma : Ji han har artist ki khuwahish hoti hai ke us ke kaam ko saraha jaey. Film mein musalsal kaam nahi hota lekin darmiyan mein waqfey aate rehte hain. Jab ke TV par aap ko har week acha mawad dena hota hai aur yeh barha mehnat talb kaam hai. Kyun ke aap ko rating mein bhi apni jagah barqarar rakhna hoti hai, lekin mujhe hamesha audience se mohabbat mili hai. Wo great laughter challenge ho ya comedy circus.
Question : Aap ne music reality show star ya rockstar mein bohat acha perform kiya tha, kya mustaqil mein music par kaam karne ka iradah hai ?
Kapil Sharma : Mujhe aik barhi music company ki janib se album ki offer hui hai, lekin fil waqt meri pori tawajja apne show par hai. Umeed hai ke agle saal apni album release kar sakon ga, jis mein Punjabi flavor ke sath sufi music bhi ho ga aur log meri aik mukhtalif side dekhenge.
Question : Hum ne suna hai ke aap Preeti Samyoze ke sath dating kar rahe ho jo aap ke aik show ki executive producer hain ?
Kapil Sharma : Apni zaati zindagi ke barey mein baat karna nahi chahta. Mere pas dating ke liye waqt nahi hai. Yaqeen kijiye agar kisi ladki se dosti hoti to ab tak wo mujhe chor kar ja chuki hoti.
Question : Aap apne show ko haftey mein kitna waqt dete hain ?
Kapil Sharma : Taqriban sara waqt isi ki nazar ho jata hai. Pehle hum idea develop karte hain. Phir is ka script aur mukalmey likhe jate hain. Comedy bohat he sanjeeda kaam hai. Main ne apni guzar auqat ke liye comedy shuru ki hai. Lekin ab yeh meri zimmedari ban gai hai aur mujhe har haftey logon mein qehqahey bantna hote hain.
Question : Aap apni comedy ko fahashi se kis tarha alag rakhte ho ?
Kapil Sharma : Gandey latifey suna kar qehqahey sametna bohat aasaan hai, lekin main ne hamesha is se pehlo bachaya. Jab log yeh kehte hain ke wo apne bachon ke sath beth kar mera show dekh sakte hain to bohat khushi hoti hai. Aik martaba Punjabi comedy actor Rana Ranbir ne mujhe bataya ke wo mera show apni beti ke sath beth kar dekhte hain. To mujhe itni he khushi hui jitni Oscar milne par hoti.
Question : Apni comedy ke liye mawad kahan se hasil karte hain ?
Kapil Sharma : Mushahedey ke zariye, mera talluq Amritsar se hai. Jahan ke logon ke pas apne neighbors ki zindagi mein jhankne ke liye bohat waqt hota hai aur wo hamesha aik dosre ki tow mein lage rehte hain. Yeh Ambala wali Bua is hafte phir aa gai, pichle hafte ge aai thi. Is taraa ke jumle sun ke hans kar main jawan hua hon aur aesi he batein meri comedy ke liye mawad farahum karti hain.
Question : Jab aap kaam nahi kar rahe hote to tab bhi isi tarah mazaq kar rahe hote hain ?
Kapil Sharma : Ji bilkul, main hamesha he se hansi mazaq ka aadi hon. Comedy actor ke taur par mera safar aik ilaqai channel se shuru hua aur mujhe Punjab se acha response mila. Phir main ne laughter challenge mein koshish ki, lekin na kaam raha. Dobara audition diya aur dilchasp baat yeh hai ke jin judges ne pehle mujhe reject kiya tha, unho ne dosri martaba mujhe select kar liya. Main apni zindagi aur career ke dauran kar adwaar se guzra hon, lekin main ne yeh samjhota nahi kiya aur hamesha audience meyari tafreeh farahum karne ki koshish ki.
Question : Ab aap apne aap ko kis darjey par dekhte hain ?
Kapil Sharma : Yaqinan mere kaam mein behtari aa gai hai, lekin main sari zindagi student he rahinga. Jis din yeh samjha ke sab kuch janta hon wo mere career ka khatma ho ga.
Question : Future mein kya program hai aap ka ?
Kapil Sharma : Films mein kaam karna aur script likhna chahta hon. Meri hamesha se khuwahish hai ke apna music album le kar aao. Music se mujhe sukoon milta hai, jaisa ke pehle bata chuka hon, ke mujhe aik music album ki offer hui hai. Lekin filhal mere pas waqt nahi hai. Ho sakta hai k eagle saal yeh album release ho jaey. Zindagi thori aur kaam bohat hain.
Question : Kya aap ne socha tha ke comedy nights with kapil itna kamiyab ho ga ?

Kapil Sharma : Mujhe is ki kamiyabi ka yaqeen tha lekin yeh kabhi nahi socha tha ke show itna kamiyab ho ga. Is silsile mein khas taur par Dharam Ji ka zikar karna chahonga. Main chahta tha ke wo is show ki pehli episode mein shirkat Karen, lekin un ki PR team ne yeh keh kar inkaar kar diya ke wo tour kar rahe hain aur un ka schedule bohat tight hai, tahum meri khuwahish thi key eh show Dharam Ji se shuru ho. Mere walid un ke bohat barhe paristar the. Sach to yeh hai ke Punjab mein har shakhs unhe hero ka darja deta hai. Chunache un se khud milne chala gaya aur kaha ke main ne soch rakha tha ke jab kabhi apna show karne ka mauqa mila to is ki ibteda Dharam Ji se karonga. Unho ne yeh sun kar aik minute bhi nahi lagaya aur mere show par aane mein razamandi zahir kar di. Unho ne mere show mein shirkat ki aur yeh dua ki key eh show kae saal tak chalta rahe. Main samajhta hon ke yeh kamiyabi unhi ki duaaon ke tofail hai.

No comments:

Post a Comment